Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mujhy aik (1) aisy shehar (mein Hijrat) ka hukam hua ha jo dosry shehrun ko kha lega (yani sab ka sardar bny ga), munafqeen isy Yasrab kehty hein lakin is ka naam Madinah ha wo (bury) logun ko is tarhan bahir ker deta ha jis tarhan bhatti lohy ke zang ko nikal deti ha. [1871: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]