Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Reham-Madar mein Allah ne aik (1) Farishta muqarar kya ha, Wo kehta ha Aye Rab! Ab ye nutfa ha, Aye Rab! Ab ye alq'a ho gya ha, Aye Rab! Ab ye mazgh'a hogya ha, phir jab Khuda chahta ha ke iski khalqat puri kry to (Farishta) kehta ha ke mozakkar (male) ya moanas (female), bad-bakht ha ya naik-bakht, rozi kitni muqaddar ha aur umar kitni, pas Maan ke pait hi mein ye tamam batein Farishta likh deta ha. [318: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]