Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi sherhi kisi dehati ka maal tijarat na bechy. Koi shaks najash na kery aur na apny bhai ki lgai hui qeemat per baho barhaye. Na koi shaks apny kisi bhai ke pegham-e-nikah ki majudgi mein apna pegham bhejy aur na koi aorat (kisi mard) se apni behan ki talaq ka mutalba kery (jo us mard ke nikah mein ho) ta ke us ka hissa bhi khud le ly. [2723: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Najash: Dhoka deny ki niyyat se nirkh barhana ta ke wo dosra shaks jald isko kharid le, ya kisi bikti hui cheez ki burai bayan kerna ta ke kharidar is ko chor ker dosri taraf chala jye aur kharidar ko dhoka deny ke lye janwar ka doodh uske thanu mein rok ker rakhna.