Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on October 16, 2015, 09:41:36 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Kisi Ka Maal Bechna, Nikah ka Paigham)
Post by: Bilal on October 16, 2015, 09:41:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne mana farmaya! Koi shehri kisi dehati ka maal-o-asbab bechy aur ye ke koi (saman khareedny ki niyaat ke bghair dosry asal khareedarun se) barh ker boli na de. Isi tarhan koi shaks apny bhai ke sody mein mudakhlat na kry, koi shaks (kisi aorat ko) dosry ke paigham-e-nikah hoty huy apna paigham na bhejy aur koi aorat apni kisi deeni behan ko is niyyat se talaq na dilwaye ke iske hissa ko khud hasil ker le. [2140: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]