Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne khwab mein Jannat daikhi, Mein ne is mein aik (1) aorat ko daikha jo aik (1) mehal ke kinary wazu ker rhi thi, Mein ne poocha ke ye mehal kis ka ha? To Farishtun ne bataya ke ye Umar bin Khitab ka mehal ha. Mujhy unki ghairat yaad aai aur Mein wahan se foran lot aya. Ye sun ker Hazrat Umar ro diye aur kehny lgy, Ya Rasool Allah! Kiya mein Aap ke sath bhi ghairat karunga? [3242: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]