Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Jumma ke din ghusal kiya aur khoob paki hasil ki aur tail (oil) ya khusbu istimal ki, phir Jumma ke lye chala aur do (2) admiun ke beech mein na ghusa aur jitni uski qismat mein thi, Nimaz parhi, phir jab Imam bahir aya aur khutba shorow kiya to khamosh ho gya, uske is Jumma mein se dosry Jumma tak ke tamam gunah bakhsh diye jayengy. [910: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salman Farsi]