Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on August 21, 2013, 10:24:47 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Jaadu)
Post by: Bilal on August 21, 2013, 10:24:47 PM
Hazrat Ayesha ne farmaya! Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jaadu ker dya gya tha aur is ka Aap per ye asar hua tha ke Aap ko khayal hota ke Aap ne Azwaj-e-Motharaat mein se kisi ke sath ham-bistri ki ha halanke Aap ne ki nhi hoti. Sufyan Sori ne byan kiya ke jaadu ki ye sab se sakht qisam ha jab is ka ye asar ho, phir Aap ne farmaya Ayesha! Tumhien maloom he Allah se jo baat Mein ne poochi thi us ka jawab Allah ne kab ka de dya ha. Mery pas do Farishty aye aik Mery Sar ke pas khara hogya aur dosra Mery Paun ke pas. Jo Farishta Mery Sar ke pas khara tha usne dosry se kaha in Sahab (Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka kya haal ha? Dosry ne jawab diya ke In per jaadu ker dya gya ha. Poocha kis ne In per Jaadu kya ha? Jawab diya ke Labeed bin Aa'sam ne, ye yahudiun ke haleef Bin Zareeq ka aik shaks tha aur munafiq tha. Sawal kiya ke kis cheez mein in per jaadu kya ha? Jawab diya ke kanghy aur baal mein. Poocha jaadu ha kahan? Jawab diya ke nar khajoor ke khoshy mein jo zarwan ke kunhein ke andar rakhy huy pathar ke neechy dafan ha. Bayan kiya ke phir Aap is kunhein per tashreef le gye aur jaadu andar se nikala. Aap ne farmaya ke yhi wo kunhan ha jo Mujy khawab mein dikhaya gya tha is ka pani mehndi ke arq jaisa rangeen tha aur uske khajoor ke darakhtun ke sar shetanun ke sirun jaisy thy. Bayan kiya ke phir wo jaadu kunhein mein se nikala gya. Hazrat Ayesha ne byan kya ke mein ne kaha ke Aap ne is jaadu ka tor kyun ni karwaya. Aap ne farmaya Allah ne Mujhy Shifa di ab mein logun mein aik shor hona pasand nhi krta. [5765: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]