Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks kisi (mubah) kaam ka irada kry (abhi pakka azam na hua ho) to do (2) raka't (nafal) parhy is ke baad yun Dua kry "Aye Allah! Mein bhalai mangta hun (istakhara) Teri (Allah ki) bhalai se, Tu (Allah) Ilm wala ha, Mujhy ilm nhi aur Tu (Allah) tamam posheedah batun ka janny wala ha. Aye Allah! Agr Tu (Allah) janta ha ke ye kaam Mery lye behtar ha, Mery Deen ke aitbar se, Meri muaash aur Mery anjam kaar ke aitbar se, Tu (Allah) isy Mery lye muqadar ker dy aur agr Tu (Allah) janta ha ke ye kaam Mery lye bura ha, Mery Deen ke lye, Meri zindagai ke lye aur Mery anjam kaar ke lye,Tu (Allah) isy Mujhse phair de aur Mujhy is se phair de aur Mery lye bhalai muqadar ker dy jahan kahein bhi wo ho aur phir Mujhy is se mutmaeen ker dy (ye Dua kerty waqat) apni zarurat ka byan ker dena chahye". [6382: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat jabir]