Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rozana insan ke her aik (1) jor per sadqa lazim ha aur agr koi shaks kisi ki sawari mein madad kry ke usko sahara de ker uski sawari per sawar kra de ya uska saman us per utha ker rakh de to ye bhi sadqa ha, acha aur paak lafaz bhi (zuban se nikalna) sadqa ha, her qadam jo Nimaz ke lye uthta ha wo bhi sadqa ha aur (kisi musafir ko) rasta bta dena bhi sadqa ha. [2891: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]