Hazrat Umar ne aik (1) ghorra Allah ke rasta mein aik (1) shaks ko sawari ke lye de dya, lakin us shaks ne ghorry ko kharab ker dya, is lye Hazrat Umar ne chaha ke wo isy khareed lein aur khyal kya ke wo isy sasty damun bech dalyga. Chunache Hazrat Umar ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se is ke motaliq poocha to Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke apna sadqa wapis na lo, khwah wo tumhein aik (1) dharam hi mein kyun na de kyunke diya hua sadqa wapis leny waly ki missal qa' (vomit) ker ke chatny waly ki si ha. [1490: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Zaid bin Aslam]