Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se aik girjy ka zikar kiya gya jisy unhun ne Habsha mein dakha tha uske andar taswerain thein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab in mein koi naik mard-o-saleh hota aur uski wafat ho jati to uski qabar ko log masjid banaty aur phir usme uski taswerain rakhty. Ye log Qiyamat ke din Allah ki bargah mein badtareen makhloq hon gy. [3873: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ume Salma & Ume Habibah]
jazakallah