Hazrat Zainab ne byan kiya ke Mein Umm-ul-Momeneen Zainab bint-e-Habsh ke yahan us waqat gai jab unke bhai ka intiqal hua. Unhun ne bhi khushbu mangwai aur istimal ki aur kaha ke Wallah! Mujhy khushbu ke istimal ki koi khuwahish nhi thi lakin mein ne Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko barsar-e-minber ye farmaty suna ha ke aorat ke liye jo Allah aur aakhrat ke din per imaan rakhti ho ye jaiz nhi ke kisi mayyat per teen (3) din se zyada sog manaye, sirf shohar ke lye chaar (4) maheeny das (10) din ka sog ha. [5335: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Zainab]