Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ka irshad ha ke Mein ne Apny bandun ke lye wo cheezain tayar ker rakhi hein, jinhein na ankhun ne dakha, na kanun ne suna na kisi insan ke dil mein unka kabhi khyal guzra ha. Agr jee chahye to ye Ayat parh lo "Pas koi shaks nhi janta ke uski ankhun ki thandak ke lye kya kya chezain chupa ker rakhi gaein hein. [3244: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]