Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on December 15, 2015, 10:14:36 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Allah Ki Hadood Per Qaim Rehny Waly)
Post by: Bilal on December 15, 2015, 10:14:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ki hadood per qaim rehny waly aur is mein ghus jany waly (yani khilaf kerny waly) ki misaal aisy logun ki si ha jinhun ne aik (1) kashti ke silsily mein qur'a dala. Jis ke nateejah mein baaz logun ko kashti ke upper ka hissa mila aur baaz ko neechy ka, pas jo log neechy waly thy, unhein (darya se) pani leny ke lye upper walun ke upper se guzarna parta, unhun ne socha ke kyun na ham apny hi hissa mein aik (1) sorakh ker lein ta ke upper walun ko ham koi takleef na dein, ab agr upper waly neechy walun ko man-mani kerny dein gy to kashti waly tamam halak ho jyengy aur agr upper waly neechy walun ka hath pakar lein to ye khud bhi bachein gy aur sari kashti bhi bach jyegi. [2493: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Noman bin Basheer]