Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on September 02, 2016, 10:58:39 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Allah Ke Rasty Mein Kisi Cheez Ka Jora Kharch Kerna)
Post by: Bilal on September 02, 2016, 10:58:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Allah ke rasty mein kisi cheez ka aik (1) jora kharch kiya (maslan do (2) rupy, do (2) kapry, do (2) ghory Allah ke rasty mein diye) to usy Jannat ke darwazun se bulaya jyega ke Aye Allah ke bandy! Idhar aa, ye darwazah behtar ha pas jo shaks Nimazi hoga usy Nimaz ke darwazy se bulaya jyega, jo shaks mujahid hoga usy Jihad ke darwazy se bulaya jyega aur jo shaks roza-daar hoga usy siyam aur riyaan (seraabi) ke darwazy se bulaya jyega. Hazrat Abu Bakar ne arz kiya jis shaks ko in tamam hi darwazun se bulaya jyega to usy kisi kism ka khof baqi nhi rhy ga aur poocha kya koi shaks aisa bhi hoga jisy in tamam darwazun se bulaya jye Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haan aur Mujhy umeed ha ke Tum (Hazrat Abu Bakar) bhi inhein mein se hogy Aye Abu Bakkar. [3666: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]