Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) qisam ke aadmiun ko Allah Apny (Arsh ke) Saya mein rakhy ga, jis din Us (Allah) ke siwa aur koi Saya na hoga. Insaaf kerny wala hakim, wo no-jawan jo Allah ki ibadat mein jawan hua ho, wo shaks jis ka dil her waqat Masjid mein lga rhy, do (2) aisy shaks jo Allah ke lye mohabbat rakhty hein, isi per wo jama huy aur isi per juda huy, aisa shaks jisy kisi khoobsurat aur izzat-dar aorat ne bulaya lakin usne ye jawab diya ke mein Allah se darta hun, wo insan jo sadqa kry aur usy is darjah chupaye ke bayein (left) hath ko bhi khabar na ho ke dahny (right) hath ne kya kharch kya aur wo shaks jo Allah ko tanhai mein yaad kry aur uski ankhein ansun se behny lag jyen. [1423: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]